Chorus:
Aisa do Hamein Gyan,
Rahe Tere Charno Mein Dhyan
Maat Nirmala Devi (x4)
Bhakti Gamya Mataji, Bhakti Gyan Sikha Dena (x2)
Maat Meri Nirmala Devi, Nirmal Dharam Sikha Dena (x2)
(Hamein) Apni Sharan Me Lena Mata (x2)
Daas Kharre Agyaan, Maat Nirmala Devi …
Guru Murti Adi Shakti, Raksha-kaarini Mataji (x2)
Main Baalak Hoon Tera Mata, Aap Hain Meri Vidhataji (x2)
(Tum) Saare Vishwa Ki Daata Mata (x2)
Dena Humko Gyan, Maat Nirmala Devi…
Maanav Ko Taaran Ke Khaatir, Kalyug Mein Avtaar Liya (x2)
Ved Shastra Sab Bata Diye, Kundalini Ko Jaga Diya (x2)
(Tune) Diya Sahaara Sabhi Ko Mata (x2)
Nirdhan Yaa Dhanvaan, Mata Nirmala Devi…
Maa Jagdamba Ekakini, Mahamaya Maa Sukhkarta (x2)
Chaitanya Lahiri Bhardo Mujh-mein, He Meri Mata Varda (x2)
(Mein) Aap Bina Kya Kar Sakta (x2)
Dedo Bhakti Ka Gyan, Maat Nirmala Devi…