Ma, he Ma, Sahastrara Swamini Ma (x2)
Sahasrara Swamini Ma Nirmal turn hi
Vandana karate Sahaja Yogi jana
Do kar jode tava charanan mein
Karen samarpit tana aur mana
Ma, he Ma, Sahastrara Swamini Ma (x2) (CHORUS)
Sahasrara ka kiya vibhedan
Ye hampar upkar hai bhari
Ma Nirmal ho bhar do ham mein
Apni ye Nirmalta sari
Tere hi anchal ke saye mein
Nava janma mila, pale badhe hain
Tera hi dar hai sabse sundar
Tere hi dar pe an khade hain
Atmagyan mila tava kripa se
Prem ki pratima ho Turn Mata
Adi Shakti Turn ho Hahadevi
Mangala karini shubh varadata
Mantra mugdha kiya Tere prem ne
Tera prem hi Sakshya hamara
Tere prem se sab jag meheke
Yehi hai sundar swapna hamara
Vinati hai Ma tava charanan mein
Bhakti ka dan hamen do Mata
Ranga do apni bhakti ke ranga mein
Dooja koi ranga na bhata